Presentation is loading. Please wait.

Presentation is loading. Please wait.

Brain Fever Symptoms in Hindi: Jane Dimagi Bukhar Ke Lakshan

Similar presentations


Presentation on theme: "Brain Fever Symptoms in Hindi: Jane Dimagi Bukhar Ke Lakshan"— Presentation transcript:

1 Brain Fever Symptoms in Hindi: Jane Dimagi Bukhar Ke Lakshan
HRELATE.COM

2 Aaj ke samay mai har vyakti kisi na kisi bimari se joojh raha hai aur iska karan hai chinta, tanav, dushit vatavaran, aniyamit khanpan aadi. Ek accha swasth sabse adhik mulyavan hota hai. lekin kai prakar ki bimariya hamare swasth ke liye khatra utpanna kar deti hai. Inhi ghatak bimariyo mai se ek hai mastishk jwar yani dimagi bukhar. Dimagi bukhar, mastishk par hone wala ek aesa sankraman hai jo ki kariban 2 laakh logo mai se 1 aadmi mai paya jata hai. Yeh sankraman adhiktar baccho, bujurgo aur jinki rog pratirodhak kshamta kam hoti hai unme paya jata hai. Mastishk jwar ko English mai Encephalitis kaha jata hai. Vyaktiyo mai iss bukhar ke hone se mastishk mai sujan aur tej bukhar aa jata hai. Iske hone ke kai karan hote hai jaise vishanu, hanikarak chemical, parjivi aadi. Iske atirikt Viral Encephalitis bhi iska piche ka mukhya karan hota hai. Isliye bukhar aane par chikitsak ko bina der kiye dikhana chahiye. Dimagi bukhar ke lakshano ke bare mai janne ke liye aaiye padhe Brain Fever Symptoms in Hindi aur inhe jankar kare iska sahi ilaj. hrelate.com

3 Brain Fever Symptoms in Hindi: Dimagi Bukhar Ke Lakshan, Karan aur Upchar
hrelate.com

4 Dimagi Bukhar Ke Lakshan
Dimagi bukhar aksar barsat ke mosam mai bahut hota hai. Iske hone se vyakti ko pehle sharir mai bukhar aata hai fir yeh bukhar sar tak pahuch jata hai. Aese mai vyakti behki-behki bate bhi karne lagta hai. Aesa isliye hota hai kyonki bukhar vyakti ke mastishk par havi ho jata hai. Isliye jab bhi kisi ko bhi iss tarah ke lakshan dikhai de turant chikitsak ki salah leni chahiye. Dimagi Bukhar Ke Lakshan Dimagi bukhar ke hone se koun-koun se lakshan dekhne ko milte hai? Janne ke liye yaha padhe Symptoms of Brain Fever. Sar mai dard hona Maspeshiyo mai kamjori mehsus hona Hemiparesis- Sharir ke sabhi bahari ango mai kamjori mehsus hona. Matli ya ulti lagna Gardan, peeth aur kandho mai akadan Tej bukhar aur thand lagna hrelate.com

5 Koi bhi decision lene mai asahajta ya pareshani hona
Dimagi bukhar hone par vyaktiyo ki mansik sthiti mai bhi parivartan hote hai. Jaise Koi bhi decision lene mai asahajta ya pareshani hona Drowsiness-Kabhi bhi accha mehsus na hona aur boriyat lagna Chidchidapan Aalas aur mansik sthti sahi na hona Poor Responsiveness-Kisi bhi kam ko sahi se na kar pana, mood ka change hona Sochne aur samajhne ki kshamta kam ho jana hrelate.com

6 Dimagi Bukhar Aane Ke Karan
Mastishk jwar logo ko kai prakar ke vishanuo jaise rabbis virus, harpies simplex polio virus, khasre ka vishanu, aur choti chechak ka vishanu aadi dimagi bukhar ka karan hota hai. Dimagi bukhar hone par kuch logo ke mastishk mai sujan ho jati hai. Aur yeh sujan kisi bhi ghatak vishnau ke sankraman se hota hai. Ghatak vishanu jaise japanis Encephalitis virus, st lucie virus, West Nile virus aadi virul Encephalitis ke pramukh karan hote hai. Jivanu Encephalitis ek bahut ghatak sankraman ke karan hota hai. Encephalitis mukhyatah do prakar ka hota hai Primary Encephalitis aur secondary Encephalitis. Prathmik Encephalitis mai vishanu ya anya sankarmak vahak sidhe mastishk ko prabhavit karte hai jisse sankraman ek shetra mai rehta hai. Aur dusare prakar ke Encephalitis tab hota hai jab hamari rog pratiroshak kshamta kamjor pad jati hai aur yeh vishanu hamare mastishk ki swasth koshikao par aakraman kar deti hai. hrelate.com

7 Dimagi Bukhar Dur Karne Ke Upchar
Brain Fever Treatment ki sahayta se aap dimagi bukhar ko dur kar sakte hai. Yeh upchar aapko bukhar se ladne ke liye sabhi madadgar aur sahayak dekhbhal (rest, nutrition’s, fluids) pradan karega jisse aap iss dimagi bukhar se ladne ke liye saksham ho payenge. Sath hi mansik rup se kamjor ho chuke logo ke liye bhi yeh upay kargar sabit rahenge. Davaiyo mai pramukh hai. Antibiotic dawaye- Jab bukhar kisi bhi prakar ke bacteria ki wajeh se hota hai tab yeh dawa lee jati hai. Anti-seizure dawaye- Dimagi bukhar ki wajeh se padne wale dore ko rokne ke liye. Steroids jaise dexamethasone- Yeh mastishk ki sujan ko rokne ke liye lee jati hai. Sedatives- Vyaktiyo ko hone wale chidchidepan aur bechaini ke ilaj ke liye. Acetaminophen- Bukhar aur sar dard ko dur karne ke liye. Upar aapne Brain Fever Symptoms in Hindi aur iske karno ke bare mai jana. Yadi aap ya fir aapke aaspas kisi ko bhi iss bukhar ke lakshan dikhai de rahe hai to chikitsak ki salah aur uchit upchar se iss ghatak bimari se bache. hrelate.com


Download ppt "Brain Fever Symptoms in Hindi: Jane Dimagi Bukhar Ke Lakshan"

Similar presentations


Ads by Google