Presentation is loading. Please wait.

Presentation is loading. Please wait.

HRELATE.COM Cloves Benefits in Hindi: Anmol Guno Se Bharpur Hai Laung.

Similar presentations


Presentation on theme: "HRELATE.COM Cloves Benefits in Hindi: Anmol Guno Se Bharpur Hai Laung."— Presentation transcript:

1 HRELATE.COM Cloves Benefits in Hindi: Anmol Guno Se Bharpur Hai Laung

2 Laung ek prakar ka adbhud masala hai jiska prayog khane ka swad badhane ke alawa sharir ko swasth rakhne ke liye kiya jata hai. Laung dekhne mai bhale hi bahut chhoti hoti hai lakin iske fayde bahut bade hote hai. Iska prayog log kai tariko se karte hai jasie iski chai banakar, sabjiyo mai masale ke roop mai aadi. Ham log keval itna jante hai ki laung ka sevan thand ke dino mai sardi se nijad dilane ke liye faydemand hota hai. Lekin aesa nahi hai laung ka prayog twacha sambandhi rog, daanto ke rog, saans aur pet ki samasya aadi ko thik karne mai bhi sahayak hai. Laung mai kuch aese gun hote hai jiski wajeh se iska mahatv na sirf aayurved balki homeopathy aur allopathic jaisi chikitsao mai bhi kiya jata hai. Laung mai kai prakar ke tatv aur khanij padarth hote hai. Isme carbohydrate, protein, vasa aur tel ke sath sath calcium, phosphorous, iron, vitamin c aur vitamin A, manganese aur fiber jaise khanij padartho se ki bhi bharpur matra hoti hai. Iske aur bhi gun aur yeh swasth ke liye kiss tarah se faydemand hai janne ke liye padhe Cloves Benefits in Hindi. hrelate.com

3 Cloves Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand Hai Laung

4 hrelate.com Gathiya Rog Laung mai upasthit flavonoids, gathiya rog ki wajeh se jodo mai hone wale dard aur sujan se rahat dilane mai madad karta hai. Iske upyog ke liye dard wale stahan par laung ke tel ki malish karna chahiye. Pachan Sambandhi Samasya Laung ka prayog pet aur pachan sambandhi sabhi samasyao se rahat dilane mai madad karta hai. Isme upasthit tatv apach, diarrhea, ulti, gastric aadi samasyao se nijad dilate hai. Iske alava laung ka sevan karne se pachan tantra majbut banta hai. Rog Pratirodhak Kshamta Badhaye Laung ka prayog sharir ki rog-pratirodhak kshamta ko badhane mai bhi kiya jata hai. Iska sevan karne se hamara rakt shuddh hota hai sath hi malaria aur haija jaise rogo ka upchar bhi hota hai. Laung ke sevan se sharir mai glucose ka star kam hone lagta hai jisse madhumeh se pidit vyaktiyo ko aaram pahuchta hai. Iske alava iska sevan karne se pitta aur cough aana bhi band ho jata hai.

5 hrelate.com Sankraman Se Bachaye Laung mai kai prakar ke antiseptic gun hote hai. Chhot lagne, khujali aur sankraman aadi se bachane ke liye isse bane paste ka upyog kiya jata hai. Laung ka prayog kisi bhi prakar ke keedo ke katne ya dank marne par bhi kiya jata hai. Twacha Sambandhi Rogo Ke Liye Twacha ke liye bahut se clove benefits hai. Chehre ki twacha mai free radicals ki wajeh se budhapa jaldi dikhayi dene lagta hai. Lekin yadi aap rojana laung ka sevan kare to iss budhape ki jung se lad sakte hai. Isme upasthit Anthocyanin antioxidant, free radicals se ladne mai madadgar hote hai. Laung ka prayog chehre ke muhase, black aur white heads ko dur karne mai bhi kiya jata hai. Iske upyog ke liye laung ke tel ko aap apne face pack mai milakar chehre par lagaye. Daanto aur Haddiyo Ke Liye Dard se rahat dilane ke liye laung ek pain killer ka kam karta hai. Yadi aapke danto mai dard ho to 5 laung ko piskar usme nimbu nichorkar danto mai lagane se dard dur ho jata hai. Sade huye danto mai laung ka tel lagane se danth sahi ho jate hai.

6 hrelate.com Cancer Ke Liye Laung mai Eugenol namak tatv hota hai jo ki fefade aur twacha cancer se nijad dilane mai madad karte hai. Balo Ke Liye Laung se bani chai balo ke liye bahut hi faydemand hoti hai. Isse bani chai ko aap apne balo mai shampoo karne aur color karne ke baad lagaye. Isse bal sundar aur majbut bante hai. Iske alava shampoo karne ke bad laung se bani chai ko balo mai lagane se yeh ek natural conditioner ka kam karta hai. Diye gaye rogo se rahat dilane ke sath-sath laung se bani chai bhi hamare swasth ke liye bahut upyogi hoti hai. To aaiye padhe tea Benefits of Cloves. Sinus Ki Samasya Dur Kare Jo vyakti sinus ki samasya se pareshan rehte hai unke liye laung se bani chai bahut labhkari hoti hai. Isme upasthit eugenol hamare bulgum ko hatane mai madad karta hai aur garmahat deta hai. Isse sinus se pidit vyakti ko rahat milti hai.

7 hrelate.com Bukhar Kam Aana Laung mai magnesium, vitamin E aur Vitmain K prachur matra mai hote hai. Sath hi isme sharir ki sujan dur karne wale aur bacterial infection se ladne wale tatv bhi hote hai. Iske sevan se bukhar kam hone mai madad milti hai aur immunity system ka level badhta hai. Twacha Ka Infection Laung mai kai prakar ke antiseptic tatv hote hai jisse isse bani chai pine se bahut se infection thik ho jate hai. Laung ki chai ka sevan karne se sharir se sabhi toxins bahar nikal jate hai sath hi ghav aur fungal infection mai rahat milti hai. Cloves Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Avashya Padhe Dopahar aur rat ko sone se pehle laung ki chai pine se rakt ka sanchran aur saliva badhne mai madad milti hai. Isse khana jaldi pach jata hai aur gas ya acidity ki samasya nahi rehti hai. Dimagi stress ko dur karne ke liye laung, podina, tulsi aur ilaichi se bani chai ka sevan kare. Iske aalva laung ke churn ko shahad ke sath khane se bhi stress se chutkara milta hai. Aesa karne se garbhvati mahilao ko hone wali ulti se bhi nijad milti hai. Iske alava laung ka sevan aankho ke liye, sar dard dur karne ke liye aur dama aadi rogo mai faydemand hota hai.


Download ppt "HRELATE.COM Cloves Benefits in Hindi: Anmol Guno Se Bharpur Hai Laung."

Similar presentations


Ads by Google