Presentation is loading. Please wait.

Presentation is loading. Please wait.

LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED) DAILY LESSON PLAN INSTRUCTIONAL LESSON Name of Topic : Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson)

Similar presentations


Presentation on theme: "LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED) DAILY LESSON PLAN INSTRUCTIONAL LESSON Name of Topic : Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson)"— Presentation transcript:

1

2

3 LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED)
DAILY LESSON PLAN INSTRUCTIONAL LESSON Name of Topic : Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson) Class : V Subject: Urdu Teacher Name : Rizwana Abbasi Date : 02 July 2011

4 TOPIC BACKGROUND IBTIDAI HALAT:
Molvi Nazeer Ahmed ( ) Molviyoum or Muftiyoun Ke aik Mazhabi khandan ma Bajnor (uttar Berdesh) mai, molvi Saadat Ali Khan ka Ghar Peda hoa. Ibtidai Taleem Arabi ki, molvi Abdul Khaliq se masjid orangabad (Dehli) ma hasil ki phir tak Dehli College ma advance urdu, Arabi adab, Farsi or Riazi (Maths) ki taleem hasil ki. PAS MANZAR Shamsul-Ulema, Deputy Molvi Nazeer Ahmed Dehlvi, Urdu adab ke pehla novel nigar, adeeb, Naqqad, Mazhabi Scholar, Qanoondan or Maqsadi-o-Islahi novel nigari ke mojid tha. Unho na musalmano khasosan aurton ke taleem or iqhlaqi islah ke lye Mara-ul-uroos, Ayyamah, Tauba-tun-Nasoh, Binat-ul-Naash, Fasana-e-Mubtala, Ibnul Waqt, Ruya-e-Sadiqah jese novel likha or eske elawa Quran Pak ka Ba’mahavra Tarjuma or Tazerat-e-hind Samet unki Beshumar Mazhabi Tasanef mojood han.

5

6 THEORY : (KHASOSIYAT) Nazeer Ahmed ne Maqsadi-o-Islahi novel likh kr zawal pazeer muslim Moashre ko Taraqqi ki rah pe gamzan kya. “Adab Barai-e-Khawateen” ki bunyad rakh ke aurton ki taleem-o-tarbiyat ki rahaen hamwar ken. Ap ne apna qalam ke zarye Angrezy zaban or jaded Taleem hasil karne, or Beja Rasm-o-Rivaj se rokne ki mohem chala kr musalmano ko zamane ke shana-ba-shana chalne ke gur sikhaya. Maqsadiyat, Ikhlaqiyat ki taleem, Ma’ashree ki sachi tasveer, Bamahavra zabanor purjosh-o-purzor Andaz-e-bayan ne apko itna buland muqam ata kya ke ajj bhi Pak-o-Hind ke nisab-e-taleem ma Nazeer Ahmed ke novel parhaie jate hn.

7 EFFECT (ASRAAT) Apki maqsadi novels ke zarya di gai taleem-o-tarbiyat ne muslmano ki aisi zehni islah ki ke muslmano ki kaya palat gai, unhe jeena ka maqsad nazar aane laga. eski aik roshan messal Hasool-e-Pakistan ki jaddo-johad he. Nazeer sahab ke novel ke zarya muslim mo’ashre ma aurton ki taleem ka jazba bedar hoa or ye shaoor bedar hoa ke aurton ki taleem he mo’ashree ma masbat tabdeli la sakti he.

8 CONCLUSION : (HURFE-AAKHIR)
Nazeer Ahmed ki Adabi-o-qomi khidmat ka daira boht wasi he. unho ne Baik-waqt Mazhab, Qanoon, Novel, Tareekh (History) Seerat, Ikhlaq, Siyasat or Khitabat ma apne johar dekhai or mustaqil noiyat ke asrat choree. Sir syed ne jis tahreek ka Beej boya Nazeer Ahmed ne us Islahi Tehreek ko gharon ke andar tak pohanchaya. Deputy Nazeer Ahmed ke bare ma ye kehna sahi hoga ke HAZAROON SAAL NARGIS APNI BENORI PE ROTI HA BARI MUSHKIL SA HOTA HA CHAMAN MA DEDAWAR PAIDA

9

10 QUIZ 1. Urdu ke pehle novel nigar ka naam ___________ he.
2. Deputy Nazeer Ahmed ka pehla novel konsa he. a. Tauba-tun-Nasuh b. Marat-ul-Uroos c. Ibn-ul-Waqat d. Roya-e-Sadiqa Marat-ul-Uroos ka matlab he “Kuch nasihaten” Angrez hukumrano ne Nazeer Ahmed ko __________ ka Khitab Dya. 5. Larkon ki Islah ke Lye Nazeer Ahmed ne “Chand Pand” kitab likhi. Sahi Ghalat Sahi Ghalat

11 9. Deputy Nazeer Ahmed ___________ (year) ma intiqal kr gai.
Noval ‘Marat-ul-Uroos ma ___________ bohat Tamezdar, Saliqamand or Ba-Ikhlaq thi. 7. Sabaq “Jis ki Mehnat uski jeet” ma ___________ Baat Baat pr farmaish karta, Zid karta lekin parhai ma dil na lagata. 8. Nazeer Ahmed ne muslim nojawano ko hidayat ki thi ke agar Taraqqi ke medan ma aage barhna he to __________ Zaban zaror seekho. a. Farsi b. Arabi c. Angrezi d. Hindi 9. Deputy Nazeer Ahmed ___________ (year) ma intiqal kr gai. a b. 1905 c d. 1920 Sir Syed Ahmed khan jab bare bare jalse karte to Deputy Nazeer Ahmed ko zaroor Khitab Karna ke lye bulate. Sahi Ghalat

12 WEEKLY ACTION PLAN Name of Topic : Sabaq “Jis ki Mehnat Uski Jeet”
(about “Deputy Nazeer Ahmed”) Teacher’s Name: Rizwana Abbasi Institute: DA Public School (O&A Levels) Subject: Urdu Class : V

13 LONG TERM GOAL Pora saal Nisab ke mutabiq di gai taleem or Tariqa-e-Taleem ne Students ke ander kitni ilmi qabliyat peda ki, es baat ka andaza saal me 2 dafa “Mid term Exam” or “Final Exam” le ke lagaya jai ga ta ke Tulba ki Kamzoriyon ko Janch kr unhe dor karne ki koshish ki ja sake or Tulba ma bhi Parhai ka shok roz-ba-roz farogh pai.

14 SHORT TERM GOAL Tulba Ki Parhai Ma Dilchaspi Barhane or ilmi Qabliyat ma din-ba-din izafa karne ke lya tulba se jo kuch Parhaya ja chuka ho ga us ke bare ma Zubani-o-Tehreree test lye jai ge or her mahene ke ikhtitam per mahana test bhe lya jai ge, ta ke tulba na sirf nisab ke mutabik samajh len or yaad kr len bulke unhe yaad rakh ke ammali zindagi ma bhe unse faida uthain.

15 INSTRUCTIONAL STRATEGIES AND TASKS
Dorane tadrees meri ye awwalen koshish rahe gi ke tulba ko zyada se zyada swalat kerne ka moqa farahum kya jai. Tulba ke kye gai sawalat ka unki zehni salahiyat ke mutabik jawab dya jai ga. Class ma group discussion karwai jai gi ta ke tulba ma shoq peda ho. Tulba ke banai gai groups ko tabdel (change) bhi kya jai ga ta ke unki malomat me khatir khoa izafa ho. Tulba ko ye bhi moqa dya jai ga ke lesson ma se koe bhi sawal karen jin ka baqi tulba ma se koe aik jawab da ga.

16 SOLUTIONS TO ANTICIPATED CHALLENGES
a. Kuch students aisa hon ga jin ko group discussion se lesson samjh na aai a. Ma aise Students ko alag betha ke dobara unki zehni sata ke mutabik samjhaongi. b. Kuch Waldain mere Tariqa-e-Tadrees se Ikhtilaf bhe ker sakte hain b. Ma aise walden ko P.T.M ma apne naie (new) tariqa-e-tadrees se agah ker ke unhe satisfy karongi, or unke problems ko solve karon gi. c. Mere Pas apna Computer mojod nahi ha. c. Ma school ma mojood Computer lab ja kar ya kisi friend ka computer se nisab ma mojood Asbaq ke bare ma khatir khoa malomat hasil karon gi. d. Meri Section inchagre agar mere tariqa-e-tadrees ko behtar na samjhen ya kisi mamle ma Ikhtilaf kare. d. Ma Section Incharge ka sath meeting karke apne nuqta-e-nazar ko wazeh karon gi or apni kamzori ko dor karon gi.

17 ES HAFTE CLASS MA PARHAIE JANE WALE MOZO-AAT (TOPICS)
NEWS LETTER ES HAFTE CLASS MA PARHAIE JANE WALE MOZO-AAT (TOPICS) AGLE HAFTE CLASS MA PARHAIE JANE WALE MOZO-AAT (TOPICS) a. Sabaq jis ki mehnat uski jeet ki buland khoani karwai jai gi. a. Sabaq “Jis ki Mehnat uski Jeet” ke mutabik sawalat dye jain ge phir tulba unke jawabat tehreet karenge. b. Sabaq ma mojood mushkil alfaz ka matlab tulba ko samjhaya jai ga. b. Tulba ko sabaq ma mojood mushkil Alfaz dye jainge jin ke tulba maine (meaning) likhen ge. c. Tamam Tulba se buland khoani karwai jai gi or unki ghaltiyon ko durust kya jai ga. c. Sabaq ma mojood kisi aik paragraph ka “imla” lya jaiga. d. Tulba se zubani sawalat kye jainge. d. Sabaq ma mojood kuch alfaz ka jumle (Sentences) tulba khud tehreer karenge. e. Group discussion lesson ke bare ma hogi.

18 TIME LINE Sabaq: Jiski Mehnat uski Jeet +
Mazmoon Navisi, Kahani Navisi, Tasveri Kahani Sabaq: “Liaqat Ali khan + Mahavrat, Maini, Jumle Tarjuma Navisi, Mukalma Navisi, Wahid Jama NOVEMBER MARCH SEPTEMBER JANUARY Nazam: Chalo Chalen Scout Banen + Wahid Jama, Alfaz Mutazad, Khat Navisi, Mahawrat+jumla Nazam: Qoomi Tarana + Muzakkar Moannus, Turjuma Navisi, Mazmoon Navisi, Mukalma Navisi

19 RESOURCES (ZARAIE) Internet
2. Word Processing, Multimedia & Spread Sheets 3. Ghair Nisabi Kutub 4. Intel ® Teach program getting started course manual 5. Urdu ke Dosra Asataza Karaam 6. Akhbarat (News Paper) , Rasail

20


Download ppt "LESSON: JIS KI MEHNAT USKI JEET (ABOUT DEPUTY NAZEER AHMED) DAILY LESSON PLAN INSTRUCTIONAL LESSON Name of Topic : Jis ki Mehnat Uski Jeet (Lesson)"

Similar presentations


Ads by Google