Presentation is loading. Please wait.

Presentation is loading. Please wait.

HRELATE.COM Rajma Benefits In Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Gun.

Similar presentations


Presentation on theme: "HRELATE.COM Rajma Benefits In Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Gun."— Presentation transcript:

1 HRELATE.COM Rajma Benefits In Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Gun

2 Rajma ek prakar ki daal hoti hai jo ki kidney ke aakar ki aur lal rang ki hoti hai isswajeh se ise kidney beans ke naam se bhi jana jata hai. Rajma ke upar ki parat moti hoti hai aur iska swad bhi tej hota hai. Ise khane ke bad halka meetha swad lagta hai. Iska prayog Mexican khane mai bahut adhik kiya jata hai. Iske alava rajma punjabiyo ka sabse pasandida vyanjan hota hai. Rajma swad mai accha hone ke sath-sath yeh hamare swasth ke liye bhi bahut faydemand hota hai. Isme potassium, magnesium, iron, protein ki bahut adhik matra payi jati hai, iske alava isme mojud khanij tatv aur minerals hamare sharir ko kai prakar ki bimariyo se ladne ki shakti pradan karte hai. Rajma mai anti-oxidant ka gun bhi hota hai jisse yeh hamare immunity system ko sahi rakhne mai madad karta hai. Yeh protein ka bhi bahut accha strot hai lekin isme jo protein hota hai wo puri matra main hi hota hai. Isliye ise cereal yani carbohydrate ke sath milakar khana chahiye jisse iska poshak star bahut adhik badh jata hai. Rajme mai vitamin B, vitamin Ke ki bhi matra hoti hai jo ki hamare swasth ke liye faydemand hoti hai. Iske alava iske aur bhi fayde janne ke liye aaiye padhe Rajma Benefits in Hindi. hrelate.com

3 Rajma Benefits In Hindi: Inn Bimariyo Se Rakhe Dur

4 hrelate.com Cholestrol Ko Kam Kare Yadi aap apne sharir ke cholesterol ko kam karne ke liye koi naya diet plan khoj rahe hai to ham aapko bta de ki cholesterol ke leval ko kam karne ke liye rajma sabse behtar hota hai. Rajma mai uchh matra mai fiber hota hai jo ki sharir ke fat ko kam karne mai madad karta hai. Sath hi isme upasthit soluble fiber pet mai jane ke bad jel ban jata hai aur cholesterol ko bind kar deta hai sath hi system mai uske avshoshan ko bhi rokta hai, jisse ki blood ka cholesterol leval kam ho jata hai. Madhumeh Se Bachaye Madhumeh rogiyo ke liye rajma bahut hi faydemand hota hai. Isme glycemic index ki bahut kam matra hoti hai jisse yeh rakt ke sharkra leval ko badhne se rokta hai. Iske alava isme bahut acchi marta mai carbohydrate aur lien protein hota hai jo ki marijo ko healthy banata hai. Rajme mai arginine aur leucine namak amino acid bhi paye jate hai jo ki insulin level ko niya Hypertension Ko Roke Rajma potassium, magnesium, fiber aur protein ka bahut accha strot hota hai jo ki dil se judi bimariyo ko dur karne mai madad karta hai. Potassium, aur magnesium hamari rakt vahikao mai ghul jata hai jisse ki blood ka flow aasani se hone lagta hai jisse ucch raktchap ko niyantrit ho jata hai.

5 hrelate.com Cancer Se Bachaye Rajma hame cancer jaisi bimari se ladne ki shakti bhi deta hai. Isme upasthit manganese, shairi ke liye anti-oxidant ka kam karta hai. Sath hi yeh hanikarak free radicals se bhi koshikao ko damage hone se rokta hai. Iske alava isme upasthit vitamin K bahari twacha ki bahri cells ko nuksandayak chijo se bachata hai jisse skin cancer ka khatra kam ho jata hai. Isliye rojana rajma ka sevan kare yeh sharir mai cancer ko janm dene wale bacteria ko mar kar cancer se bachane mai madad karta hai. Dimak Ko Accha Rakhe Rajme mai upasthit vitamin K, hamare brain ke sath nervous system ke liye bhi faydemand hota hai. Sath hi isme upasthit thiamin ki matra dimak ki kshamta ko badhane mai madad karti hai. Isliye jo log rajma ka niymit sevan karte hai unki yaddasht bahut tej hoti hai. Iske sath hi rajma hame aljaimer jaise rogo se bhi bachata hai. Migraine Ko Khatm Kare Migraine ki wajeh se pareshan logo ke liye rajma khana bahut accha hota hai. Isme folate ki matra hoti hai jo ki dimak ko swasth rakhti hai aur kam karne ki kshamta ko badhati hai. Sath hi isme upasthit magnesium migraine jaisi gambhir bimari se bhi bachati hai.

6 hrelate.com Immunity System Ko Badhaye Sharir ki rog-pratirodhak kshamta ko badhane ke liye isme fiber aur protein ki uchh matra hoti hai. Sath hi rajma ka anti-oxidant gun sharir ko free radicals se bhi bachate hai. Iske alava rajma ka salad aur soup ke rup mai upyog karne se anti-ageing ki samasya dur ho jati hai. Twacha Ke Liye Faydemand Rajma mai upasthit folic acid, twacha ki nayi koshikao ke nirman mai madad karta hai. Jisse hamari twacha jawa aur healthy rehti hai. Isliye twacha ki sahi dekhbhal ke liye rajma ka rojana sevan kare. Baalo Ke Liye Faydemand Baalo ki dekhbhal ke liye yaha padhe Rajma Benefits In Hindi. Baalo ke liye protein bahut jaruri hota hai jo ki baalo ki growth ko badhane mai madad karta hai. Sath hi isme upasthit vitamin A, C, E aur Iron, baalo ko majbuti pradan karte hai. Iske alava rajma ka sevan karne se hamara pachan tantra sucharu rup se karya karne lagta hai. Rajme mai upasthti molybdenum, puri body ko detoxify karta hai aur sharir ki gandagi ko bahar nikalta hai.

7 hrelate.com Vajan Kam Karne Mai Madad Kare Yeh ki aap jante hai ki rajma mai fiber ki ucch matra hoti hai jo ki vajan ko bhi kam karne mai madad karta hai. Fiber ki wajeh se ham lambe samay tak pet ko bhara hua mehsus karte hai. Isse ham bar-bar khane se bach jate hai. Sath hi ise khane se sharir mai kafi der tak urja bani rehti hai. Iss tarah se yeh hamare vajan ko kam karne mai bhi madad kartta hai. Haddiyo Ko Majbut Banaye Aajkal ke khanpan ki wajeh se duniya bhar mai Osteoporosis ki bimari badhti ja rahi hai. Aese mai rajma ka sevan iss bimari se chukara dimane mai madad karta hai. Isme upasthit calcium aur manganese haddiyo ko majbuti pradan karte hai. Sath hi isme upasthit foliate, homocysteine ke level ko bhi niyantrit karti hai jo ki haddiyo ke tutane ki wajeh hoti hai. Upar aapne jana Rajma Benefits In Hindi. Yadi aap bhi upar dee gayi bimariyo se chutkara pana chahti hai to aaj se hi rajma ka sevan karna shuru kare aur rahe inn bimariyo se dur.


Download ppt "HRELATE.COM Rajma Benefits In Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Gun."

Similar presentations


Ads by Google